Tuesday, 10 January 2017

Apny Hontoo pe Sajana Chahta Hu

Apny Hontoo pe sajana chahta hu
A tujhy m gungunana chahta hoon

koi ansoo tery daman p girra kar
Bond ko moti bnana chahta hoon

Thak gya main karty karty yad tujh ko
 Ab tjhy m yad ana chahta hoon

Akhri hichki tery zanoo par ayee
Moot bhi m shairana chahta hoon

Phool se paikar to nikly be murawat
Pathroo ko bhi azmana chahta hoon

Reh gai th kuch kamii ruswaioo main
Phirr Qateel uss darr p jana chahta hoon..!!!





No comments:

Post a Comment